Bollywood Hum Tum Dialogues



Riya: Yes, Karan
Karan: Hi Riya
Riya: Don’t Hi Riya me, Okay!
Karan: Naraz ho
Riya: hmmm
Karan: Theek hai main wapas ghar chala jaata hoon
Riya: what??
Karan: main wapas ghar chala jaata hoon
Riya: Ummm??
Karan: main tumhare ghar ke bhara hoon. (Riya Opens the door) Bahut bhook lagi hai khane ko kuch milega
Riya: it’s so nice to be back in India, Mumma theek kehti hai Apna desh to apna hi hota hai
Karan: Tumse kisne kaha tha paris main jaa kar rehne ko. I am sorry Riya I didn’t meant that.
Riya: No No No don’t be sorry, Karan baat aisi thi ki main India main rehti to Mumma aur mere rishtedaar meri dubara shaadi karne ki baat karte rehte aur sameer ke jaane ke baad mera in sab baton par se man uth cuka tha. Kisi ke jaane ke baad bhi pyaar thode na kam ho jaata hai. Sameer ka pyar mere saath hamesha rahega. I will always love him
Karan: Ya, I can understand that but iska matlab yeh to nahi ki tum apni zindagi fir se shuru nahi kar sakti. I mean you can’t stop living.
Riya: Haan but apni zindagi fir se shuru karne ke liya sahi saathi ka milna bahut zarrori hai. Jo chai ki tray pakadne se nahi milne wala.
Karan: Haan aur agar mil bhi jaye to
Riya: What rubbish
Karan: No come on yaar. Main bahugt manta hoon arranged marriages; I am a big believer in arranged marriages. I am serious yaar . Hum pretend karte hai ki hum yahan arranged marriage ki mulakat ke liye aaye hai
Riya: Kyon nahi, Subah ke 2 baje hum pretend karte hai
Karan: Hello Riya, mera naam champak bhumiya hai tumhari mausi ki bhanji ki beti ki saheli tumhari bahut taareef karti hai. Usne kaha ki hum ek dusre ke liye perfect hai; ek duje ke liye Riya.
Riya: Why not!!!
Karan: Come on man Riya, Don’t be a close. Chalo am not champak bhumiya. Genuinely koi smart sa aadmi tumse pooche paris main itne saal akele rehne ke baad tum Bombay main mere saath adjust kar paogi.
Riya: Sandwitch
Karan: Thank You Riya come one. Sit down
Riya: Come on karan it is not funny.
Karan: It is funny it is FUN. Remember FUN. Come on!
Riya (Laughs ): Ok. Tum kya pooch rahe the?
Karan: Paris main itne saal rehne ke baad kyat um Bombay main mere saath adjust kar paogi.
Riya: Sheher ke saath adjust karne se jyada zaroori hai logon ke saath adjust karna aur do log yadi apas main khush hai to Bombay ho ya Paris kya farak padta hai.
Karan: 10 on 10 that’s a perfect answer. Aur shaadi ke baad tum kaam bhi karogi?
Riya: Kyon tum nahi chahte ki main shaadi ke baad kaam karoon
Karan: Nahi Nahi yaar I think it is great. Mujhe lagta hai har aurat ko kaam karna chahiye aur sirf time pass ke liye nahi balki seriously tumhari tarah.
Riya: Now That’s a perfect answer 10 on 10
Karan: Thank you. Aur bachon ke bare main kya khayal hai?
Riya: Kya bachon ke baare main?
Karan: Nahi nahi tum nahi. Tum mujhse nahi poochne wali ki kya mujhe bache pasand hai ya…
Riya: Haan Haan to kya tumhe bache pasand hai
Karan: Behad, Mujhe sabse pehle ek ladki chahiye beautiful and intelligent tumhari tarah. Main bahut acha daddy banoonga aur mere jaisa koi bhi ladka uske saamne aayega to uski taange tod doonga Haramzada.
Riya: Aur tumhe aisa lagta hai kit um aisa karoge to ek ache pita kehlaoge
Karan: Dekho tum itni achi maa hogi ki main agar bachon ko thoda bigaad bhi doon to kya farak padta hai.
Riya: Acha saari mehnat main karoona ur saare maze tum luto.
Karan: Haan meri nazar se dekho to kamaal ki shaadi hai humari. Bas is family photo ko complete karne ke liye humein ek chota sa kutta rakhna chahiye.
Riya: Aur hum usko tommy bulayenge
Karan: Kafi bakwaas sa naam hai. Acha theek hai tommy. lekin ek shart par, Tommy ki sair ki zimmedari tumhari hai, main yeh sab nahi kar sakta.
Riya: Done
Karan: Main sirf use khane ki table par baith kar apni plate se haddiyan khilaoonga le tommmy kha le tommy kha. That’s all I am gonna do.
Riya: To shaadi ke baad tum bache aur tommy ko bigaadne ke alawa kya karoge?
Karan: Aur karne ko hai hi kya main bas maze se aram se apni zindagi jiyoonga apne bache aur tommy ke saath….. aur haan tumhare saath bhi! Sorry!
Riya: To main bache aur tommy ke baad aati hoon
Karan: No no that was a mistake, tumhare saath
Riya: To main bache aur tommy ke baad aati hoon
Karan: No Riya that was…. I am sorry
Riya: Agar tumne mera naam bache aur tommy ke baad liya to main tumhare chote chote chote chote tukde kar ke usi tommy ko khila doongi
Karan: Acha baba acha I am sorry aaj ke baat bache aur tommy baad main sabse jyada tumhe pyaar karoonga.

For more interesting Stuffs make a visit to www.glamour.raafatrola.com .

0 comments:

Post a Comment