Bollywood Dialogues, Fanaa Scene

I start this thread with a Scene from FANAA, which I watched again recently. A very poignant scene.
Rehan (Aamir Khan) is a Kashmiri terrorist but pretends to be a tourist guide. Zooni (a visually challenged girl played by Kajol) doesn't know this and is in love with him. Aamir too is drawn towards her, but is apprehensive of the relationship & doesn't want it to continue, since he will not be able to reciprocate her love. For once his mission is complete, he will have to run into hiding, and will be leaving a lovelorn girl with a broken heart. So he pretends to ignore Kajol while taking a group of tourists around Delhi. This is the dialogue which follows :
Kajol : Dikhayi mujhe nahin deta aur tum mujhe nahin dekh sakte?
Bhool kare humse agar koyi bhool ho,
to bhool samajhkar bhula dena.
lekin bhulaana sirf bhool ko,
galati se bhi hamein naa bhula dena.
Aamir : Nahin Zooni, tumhare Friend ne theek hi kaha tha, tumhe kisi shehzaade se pyar karna chahiye. Mujh jaise shaitan se nahin.
Kajol : Ab bahut der ho chuki hai. Yeh shaitan hi mera shehzaada hai !
Aamir : Main tumhe kuch nahin de sakta Zooni. Maine tumse kaha tha main zarooraton ko maanta hoon, pyaar aur ahsaas ko nahin. Auratein mere liye sheharon ki tarah hoti hain - kuch din ek shehar mein bithana, usmein kho jaana, aur phir agala shehar, yehi main hoon. Aur main badal nahin sakta.
Kajol : Dekho Rehan, ye shehzaadon wali baatein khwabon mein achchi lagti hain, hakeekat mein nahin. Mujhe tum mile ho, yeh hakeekat hai. Hum ittefaaq se nahin, kismat se mile hain. Poori zindagi nahin to, kam se kam agle baarah ghante to hum saath mein bitha sakte hain. Shaayad hamaare paas sirf aaj hai, sirf aaj. Sirf ab.
Aamir : Mere aur kareeb mat aao Zooni, ye toofan tumhe tabaah kar dega.
Kajol : Tere dil mein meri saanson ko Panaah mil jaaye, teri ishq mein meri jaan Fanaa ho jaaye !
Aamir : Tum mujhse itni mohabbat kaise kar sakti ho Zooni ? Koyi kisi se itni mohabbat kaise kar sakta hai ? Ek vaada karta hoon Zooni, ye agale baarah ghante tumhaare zindagi ke sabse haseen hone waale hain.


For more interesting Stuffs make a visit to www.glamour.raafatrola.com .

0 comments:

Post a Comment